falak se jo hue dharti ki nazr saada log | फ़लक से जो हुए धरती की नज़्र सादा लोग

  - Tahir Hanfi

falak se jo hue dharti ki nazr saada log
unhi ke gham se hain waqif ye be-libaada log

main apne aap ko ab dhoondh bhi nahin saka
mere janaaze mein hain is qadar ziyaada log

unhi mein main bhi hoon shaamil so tu nahin milta
bana ke todne waale hain jo iraada log

ki cheer daala gaya pehle be-gunaah mujhe
mere vujood ka chunte hain ab burada log

rafeeq chhod ke dil mein jo rakhen dushman ko
ki mere jaise kahaan honge dil-kushaada log

jala raha hoon main khud ko kuchh is liye taahir
karenge deep ki is lau se istifaada log

फ़लक से जो हुए धरती की नज़्र सादा लोग
उन्ही के ग़म से हैं वाक़िफ़ ये बे-लिबादा लोग

मैं अपने आप को अब ढूँढ भी नहीं सकता
मिरे जनाज़े में हैं इस क़दर ज़ियादा लोग

उन्ही में मैं भी हूँ शामिल सो तू नहीं मिलता
बना के तोड़ने वाले हैं जो इरादा लोग

कि चीर डाला गया पहले बे-गुनाह मुझे
मिरे वजूद का चुनते हैं अब बुरादा लोग

रफ़ीक़ छोड़ के दिल में जो रक्खें दुश्मन को
कि मेरे जैसे कहाँ होंगे दिल-कुशादा लोग

जला रहा हूँ मैं ख़ुद को कुछ इस लिए 'ताहिर'
करेंगे दीप की इस लौ से इस्तिफ़ादा लोग

  - Tahir Hanfi

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tahir Hanfi

As you were reading Shayari by Tahir Hanfi

Similar Writers

our suggestion based on Tahir Hanfi

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari