mausamon ke shehar mein paani ke ghar ugne lage
chup hawa ki kokh se tanhaa safar ugne lage
haath ki rekhaon mein saakit hue ma'ni-o-harf
ungliyon ki por pe khun ke shajar ugne lage
khwahishon ki aag mein jalta badan tapta lahu
sochte jismoon ki shaakhon par hunar ugne lage
meri mitti ne mujhe pehchaan bakshi thi magar
aankh ki putli mein ujde khwaab ghar ugne lage
zindagi ki daud mein taahir akela to nahin
waqt ki raftaar mein zakhamon ke par ugne lage
मौसमों के शहर में पानी के घर उगने लगे
चुप हवा की कोख से तन्हा सफ़र उगने लगे
हाथ की रेखाओं में साकित हुए मा'नी-ओ-हर्फ़
उँगलियों की पोर पे ख़ूँ के शजर उगने लगे
ख़्वाहिशों की आग में जलता बदन तपता लहू
सोचते जिस्मों की शाख़ों पर हुनर उगने लगे
मेरी मिट्टी ने मुझे पहचान बख़्शी थी मगर
आँख की पुतली में उजड़े ख़्वाब घर उगने लगे
ज़िंदगी की दौड़ में 'ताहिर' अकेला तो नहीं
वक़्त की रफ़्तार में ज़ख़्मों के पर उगने लगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tahir Hanfi
our suggestion based on Tahir Hanfi
As you were reading Aag Shayari Shayari