mere badan pe saja hai barhangi ka libaas | मिरे बदन पे सजा है बरहनगी का लिबास

  - Tahir Hanfi

mere badan pe saja hai barhangi ka libaas
yahi libaas hua meri zindagi ka libaas

mera ye jurm ki meri ana ke shaanon par
pada hua hai gham-e-marg-e-dosti ka libaas

na mujh ko khwahish-e-hasti na aas marne ki
ki ab labon ne dikhaaya hai tishnagi ka libaas

faseel-e-shehr pe meri sada bhi raushan hai
zamaana feknne waala hai teergi ka libaas

vo jism-o-jaan ko chhupaaye to phir bhi uryaan hai
ki meri aankh mein raksaan hai rahbari ka libaas

lahu ke rang ki surkhi badan ki veeraani
kis ehtimaam se laaya hai aadmi ka libaas

ye garm sard hawaaein ye aandhiyaan taahir
ki chaak-chaak hua ab ke aagahi ka libaas

मिरे बदन पे सजा है बरहनगी का लिबास
यही लिबास हुआ मेरी ज़िंदगी का लिबास

मिरा ये जुर्म कि मेरी अना के शानों पर
पड़ा हुआ है ग़म-ए-मर्ग-ए-दोस्ती का लिबास

न मुझ को ख़्वाहिश-ए-हस्ती न आस मरने की
कि अब लबों ने दिखाया है तिश्नगी का लिबास

फ़सील-ए-शहर पे मेरी सदा भी रौशन है
ज़माना फेंकने वाला है तीरगी का लिबास

वो जिस्म-ओ-जाँ को छुपाए तो फिर भी उर्यां है
कि मेरी आँख में रक़्साँ है रहबरी का लिबास

लहू के रंग की सुर्ख़ी बदन की वीरानी
किस एहतिमाम से लाया है आदमी का लिबास

ये गर्म सर्द हवाएँ ये आँधियाँ 'ताहिर'
कि चाक-चाक हुआ अब के आगही का लिबास

  - Tahir Hanfi

Ghamand Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tahir Hanfi

As you were reading Shayari by Tahir Hanfi

Similar Writers

our suggestion based on Tahir Hanfi

Similar Moods

As you were reading Ghamand Shayari Shayari