meri udaasi ka naqsh-e-paa hai udaas lafzon ka ek jungle
ye gham ki raaton ko jaanta hai udaas lafzon ka ek jungle
kisi ki aankhon mein dheere dheere utar raha hai nami ka baadal
qalam se kis ke nikal raha hai udaas lafzon ka ek jungle
shikasta kaaghaz par aansoon ka bana hua hai jo ek taalaab
vo meri aankhon se bah raha hai udaas lafzon ka ek jungle
uthaai kal raat diary aur main ne kar daali daali aatish
so saath us ke hi jal gaya hai udaas lafzon ka ek jungle
ki dil mein jitni aziyyaten theen qalam se taahir unhen likha hai
ghazal ki soorat mein dhal chuka hai udaas lafzon ka ek jungle
मिरी उदासी का नक़्श-ए-पा है उदास लफ़्ज़ों का एक जंगल
ये ग़म की रातों को जानता है उदास लफ़्ज़ों का एक जंगल
किसी की आँखों में धीरे धीरे उतर रहा है नमी का बादल
क़लम से किस के निकल रहा है उदास लफ़्ज़ों का एक जंगल
शिकस्ता काग़ज़ पर आँसूओं का बना हुआ है जो एक तालाब
वो मेरी आँखों से बह रहा है उदास लफ़्ज़ों का एक जंगल
उठाई कल रात डायरी और मैं ने कर डाली डाली आतिश
सो साथ उस के ही जल गया है उदास लफ़्ज़ों का एक जंगल
कि दिल में जितनी अज़िय्यतें थीं क़लम से 'ताहिर' उन्हें लिखा है
ग़ज़ल की सूरत में ढल चुका है उदास लफ़्ज़ों का एक जंगल
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tahir Hanfi
our suggestion based on Tahir Hanfi
As you were reading Udasi Shayari Shayari