chaman itna khizan-aasaar pehle kab hua tha
bala ka qahat-e-barg-o-baar pehle kab hua tha
hawadis aur main bachpan se go lad-bhid rahe the
hawadis ka ye gahra vaar pehle kab hua tha
main jin galiyon mein paiham barsar-e-gardish raha hoon
main un galiyon mein itna khaar pehle kab hua tha
main bimaar-e-mohabbat yun to pehle bhi raha hoon
magar is zor ka beemaar pehle kab hua tha
sada na na ki yun to gosh-zad hoti rahi hai
lab-e-laaleen se saaf inkaar pehle kab hua tha
tira lahja tha jaanaan sheer o shabnam se ibaarat
tira lahja abhi talwaar pehle kab hua tha
saleeb-o-dar pehle bhi bahut waafir nahin the
magar qahat-e-saleeb-o-daar pehle kab hua tha
miyaan-'tahsin tiri rindi ki sun-gun thi hamein bhi
magar aisa khula iqaar pehle kab hua tha
चमन इतना ख़िज़ाँ-आसार पहले कब हुआ था
बला का क़हत-ए-बर्ग-ओ-बार पहले कब हुआ था
हवादिस और मैं बचपन से गो लड़-भिड़ रहे थे
हवादिस का ये गहरा वार पहले कब हुआ था
मैं जिन गलियों में पैहम बरसर-ए-गर्दिश रहा हूँ
मैं उन गलियों में इतना ख़ार पहले कब हुआ था
मैं बीमार-ए-मोहब्बत यूँ तो पहले भी रहा हूँ
मगर इस ज़ोर का बीमार पहले कब हुआ था
सदा ''ना ना'' की यूँ तो गोश-ज़द होती रही है
लब-ए-लालीं से साफ़ इंकार पहले कब हुआ था
तिरा लहजा था जानाँ शीर ओ शबनम से इबारत
तिरा लहजा अभी तलवार पहले कब हुआ था
सलीब-ओ-दार पहले भी बहुत वाफ़िर नहीं थे
मगर क़हत-ए-सलीब-ओ-दार पहले कब हुआ था
मियाँ-'तहसीं' तिरी रिंदी की सुन-गुन थी हमें भी
मगर ऐसा खुला इक़रार पहले कब हुआ था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tahseen Firaqi
our suggestion based on Tahseen Firaqi
As you were reading Environment Shayari Shayari