ishq ki rasm nibhaana thi nibha li main ne
dard ki basti basaana thi basa li main ne
vo zaroor aayega ik aas laga li main ne
ghar ki har cheez qareene se saja li main ne
aaj phir chaai banaate hue vo yaad aaya
aaj phir chaai mein patti nahin daali main ne
aag dahki to nikalna pada kamre se magar
us ki tasveer kisi tarah bacha li main ne
naam us ka hi liya karti hai vo shaam-o-sehar
ek maina jo bade pyaar se paali main ne
vo to mehfil mein hi elaan-e-wafa kar deta
baat mat poochiye phir kaise sambhaali main ne
ghar ki buniyaad ke patthar bhi sadak par hote
vo to achha hua deewaar bacha li main ne
इश्क़ की रस्म निभाना थी निभा ली मैं ने
दर्द की बस्ती बसाना थी बसा ली मैं ने
वो ज़रूर आएगा इक आस लगा ली मैं ने
घर की हर चीज़ क़रीने से सजा ली मैं ने
आज फिर चाय बनाते हुए वो याद आया
आज फिर चाय में पत्ती नहीं डाली मैं ने
आग दहकी तो निकलना पड़ा कमरे से मगर
उस की तस्वीर किसी तरह बचा ली मैं ने
नाम उस का ही लिया करती है वो शाम-ओ-सहर
एक मैना जो बड़े प्यार से पाली मैं ने
वो तो महफ़िल में ही एलान-ए-वफ़ा कर देता
बात मत पूछिए फिर कैसे सँभाली मैं ने
घर की बुनियाद के पत्थर भी सड़क पर होते
वो तो अच्छा हुआ दीवार बचा ली मैं ने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Taruna Mishra
our suggestion based on Taruna Mishra
As you were reading Yaad Shayari Shayari