baad mein mujh se na kehna ghar palatna theek hai | बाद में मुझ से ना कहना घर पलटना ठीक है

  - Tehzeeb Hafi

baad mein mujh se na kehna ghar palatna theek hai
vaise sunne mein yahi aaya hai rasta theek hai

shaakh se patta gire baarish ruke baadal chatte
main hi to sab kuchh galat karta hoon achha theek hai

jehan tak tasleem kar leta hai uski bartree
aankh tak tasdeeq kar deti hai banda theek hai

ek teri awaaz sunne ke liye zinda hai ham
tu hi jab khaamosh ho jaaye to phir kya theek hai

बाद में मुझ से ना कहना घर पलटना ठीक है
वैसे सुनने में यही आया है रस्ता ठीक है

शाख से पत्ता गिरे, बारिश रुके, बादल छटें
मैं ही तो सब कुछ गलत करता हूँ अच्छा ठीक है

जेहन तक तस्लीम कर लेता है उसकी बर्तरी
आँख तक तस्दीक कर देती है बंदा ठीक है

एक तेरी आवाज़ सुनने के लिए ज़िंदा है हम
तू ही जब ख़ामोश हो जाए तो फिर क्या ठीक है

  - Tehzeeb Hafi

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tehzeeb Hafi

As you were reading Shayari by Tehzeeb Hafi

Similar Writers

our suggestion based on Tehzeeb Hafi

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari