na jaane kis gali mein gum hua hai | न जाने किस गली में गुम हुआ है

  - ABhishek Parashar

na jaane kis gali mein gum hua hai
mera dil kuchh dinon se laapata hai

mohabbat ho gai dil ko kisi se
kisi ki yaad mein dooba hua hai

koi to khwaab mein aaya tha mere
kisi ne gaalon ko mere chhua hai

meri veeraan si is zindagi mein
koi to hai jo dastak de raha hai

kirayaa bhi nahin deta mujhe aur
vo mere dil mein bhi rahne laga hai

tujhe maine kiya hai yaad kitna
teri tasveer ko vo sab pata hai

mujhe sab yaad rehta hai nashe mein
pata hai mujhko maine kya kiya hai

kiya tha jisne vaada umrbhar ka
mujhe phir chhod kar vo bhi gaya hai

jise kha kar main usko bhool jaaun
tumhaare paas sach mein vo dava hai

koi pooche mere baare mein tum se
to kah dena vo shayar bewafa hai

न जाने किस गली में गुम हुआ है
मेरा दिल कुछ दिनों से लापता है

मोहब्बत हो गई दिल को किसी से
किसी की याद में डूबा हुआ है

कोई तो ख़्वाब में आया था मेरे
किसी ने गालों को मेरे छुआ है

मेरी वीरान सी इस ज़िंदगी में
कोई तो है जो दस्तक दे रहा है

किराया भी नहीं देता मुझे और
वो मेरे दिल में भी रहने लगा है

तुझे मैंने किया है याद कितना
तेरी तस्वीर को वो सब पता है

मुझे सब याद रहता है नशे में
पता है मुझको मैंने क्या किया है

किया था जिसने वादा उम्रभर का
मुझे फिर छोड़ कर वो भी गया है

जिसे खा कर मैं उसको भूल जाऊँ
तुम्हारे पास सच में वो दवा है

कोई पूछे मेरे बारे में तुम से
तो कह देना वो शायर बेवफ़ा है

  - ABhishek Parashar

Bekhabri Shayari

Our suggestion based on your choice

More by ABhishek Parashar

As you were reading Shayari by ABhishek Parashar

Similar Writers

our suggestion based on ABhishek Parashar

Similar Moods

As you were reading Bekhabri Shayari Shayari