gunaahon ki saza duniya mein mil jaaye to kya hoga | गुनाहों की सज़ा दुनिया में मिल जाए तो क्या होगा - Haider Khan

gunaahon ki saza duniya mein mil jaaye to kya hoga
koi jo is jahaan mein dil ko tarsaaye to kya hoga

mohabbat ke safar mein to koi manzil nahin hoti
safar ki ibtida mein tum jo ghabraaye to kya hoga

jo dil ko chaak karte hain ada jinki qayamat hai
khuda jaane ye dil un par hi aajaaye to kya hoga

jise kaanton ki sohbat se bachaate fir rahe ho tum
tumhaari hi wajah se gul vo murjhaaye to kya hoga

zamaane ki nazar se bach ke tujh se mil raha hoon par
teri khushboo se mera ghar mahak jaaye to kya hoga

tumhein bhi khoob hai ye shauq hamse rooth jaane ka
agar hum na manaane par utar aaye to kya hoga

गुनाहों की सज़ा दुनिया में मिल जाए तो क्या होगा
कोई जो इस जहाँ में दिल को तरसाए तो क्या होगा

मोहब्बत के सफ़र में तो कोई मंज़िल नहीं होती
सफ़र की इब्तिदा में तुम जो घबराए तो क्या होगा

जो दिल को चाक करते हैं अदा जिनकी क़यामत है
ख़ुदा जाने ये दिल उन पर ही आजाए तो क्या होगा

जिसे काँटों की सोहबत से बचाते फ़िर रहे हो तुम
तुम्हारी ही वजह से गुल वो मुरझाए तो क्या होगा

ज़माने की नज़र से बच के तुझ से मिल रहा हूँ पर
तेरी ख़ुशबू से मेरा घर महक जाए तो क्या होगा

तुम्हें भी खूब है ये शौक़ हमसे रूठ जाने का
अगर हम ना मनाने पर उतर आए तो क्या होगा

- Haider Khan
2 Likes

Musafir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haider Khan

As you were reading Shayari by Haider Khan

Similar Writers

our suggestion based on Haider Khan

Similar Moods

As you were reading Musafir Shayari Shayari