khudi ko khud se haraa kar ye ladkhadaate hain
ajeeb log hain manzil se laut aate hain
tumhaare ishq ke baare mein sab bataate hain
mujhe hi log meri dastaan sunaate hain
khilaaf jo bhi hamaare hai us se kah dena
charaagh ham bhi hawaon mein hi jalate hain
saja ke chahre pe muskaan dil mein rakh kar gham
khushi ke geet zamaane ko ham sunaate hain
suna hai qadr vo karta nahin tumhaari ab
suna hai log jo bote hain vo hi paate hain
kisi ne ahad-e-wafaa tark kar diya to kya
kuchh aise log bhi hain jo ise nibhaate hain
faqat khushi hi manaa kar ke ham nahin rukte
ham ahl-e-harf hain ham dard bhi manaate hain
abhi bhi apni kitaabon ke pichhle panne par
tumhaare naam ko likhte hain phir mitaate hain
खुदी को ख़ुद से हरा कर ये लड़खड़ाते हैं,
अजीब लोग हैं मंज़िल से लौट आते हैं।
तुम्हारे इश्क़ के बारे में सब बताते हैं
मुझे ही लोग मेरी दास्ताँ सुनाते हैं
ख़िलाफ़ जो भी हमारे है उस से कह देना
चराग़ हम भी हवाओं में ही जलाते हैं
सजा के चहरे पे मुस्कान दिल में रख कर ग़म
ख़ुशी के गीत ज़माने को हम सुनाते हैं
सुना है क़द्र वो करता नहीं तुम्हारी अब
सुना है लोग जो बोते हैं वो ही पाते हैं
किसी ने अहद-ए-वफ़ा तर्क कर दिया तो क्या
कुछ ऐसे लोग भी हैं जो इसे निभाते हैं
फ़क़त ख़ुशी ही मना कर के हम नहीं रुकते
हम अहल-ए-हर्फ़ हैं हम दर्द भी मनाते हैं
अभी भी अपनी किताबों के पिछले पन्ने पर
तुम्हारे नाम को लिखते हैं फिर मिटाते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Haider Khan
our suggestion based on Haider Khan
As you were reading Ghamand Shayari Shayari