saansen hain zindagi to hai zinda-dili nahin | साँसें हैं, ज़िन्दगी तो है, ज़िंदा-दिली नहीं,

  - Haider Khan

saansen hain zindagi to hai zinda-dili nahin
is deep mein dhuaan hai bas ab raushni nahin

unki kahaaniyon mein hamesha bura tha main
meri mein un se achha koi shakhs hi nahin

ab waqt ne badal li hai karvat to kya karein
varna vo aashna the kabhi ajnabi nahin

ya to bana ke apna rakho ya rihaa karo
ye kya ki hamse ishq kabhi hai kabhi nahin

khoya tha is qadar main khayaalon mein pichhli shab
vo aa ke ja chuke mujhe ehsaas bhi nahin

ye to kaha tha usne ki gauhar ho tum magar
ye bhi kaha tha saath mein ki qeemti nahin

unse bichhadte waqt ye maaloom tha mujhe
pehla maqaam tha ye mera aakhri nahin

main jab gaya tha usko manaane ke vaaste
usne kaha ye hijr hai naarazgi nahin

kuchh log tootte hain to sajdon mein girte hain
har shakhs may-kashi hi kare laazmi nahin

yun to meri mazaar pe aaye the sab magar
jiske liye mare the ham aaya wahi nahin

unse kal aa rahi thi kisi aur ki mahak
aur vo mahak kuchh aur hi thi dosti nahin

mere baghair khush thi vo kisne ye kah diya
aisa hi tha agar to vo phir lautti nahin

साँसें हैं, ज़िन्दगी तो है, ज़िंदा-दिली नहीं,
इस दीप में धुआँ है बस अब, रौशनी नहीं।

उनकी कहानियों में हमेशा बुरा था मैं,
मेरी में उन से अच्छा कोई शख़्स ही नहीं।

अब वक्त ने बदल ली है करवट तो क्या करें,
वरना वो आश्ना थे कभी, अजनबी नहीं।

या तो बना के अपना रखो या रिहा करो,
ये क्या की हमसे इश्क़ कभी है कभी नहीं।

खोया था इस क़दर मैं ख़यालों में पिछली शब,
वो आ के जा चुके मुझे एहसास भी नहीं।

ये तो कहा था उसने कि गौहर हो तुम मगर,
ये भी कहा था साथ में कि क़ीमती नहीं।

उनसे बिछड़ते वक्त ये मालूम था मुझे,
पहला मक़ाम था ये मिरा आख़री नहीं।

मैं जब गया था उसको मनाने के वास्ते,
उसने कहा ये हिज्र है नाराज़गी नहीं।

कुछ लोग टूटते हैं तो सजदों में गिरते हैं,
हर शख़्स मय-कशी ही करे, लाज़मी नहीं।

यूँ तो मिरी मज़ार पे आए थे सब मगर,
जिसके लिए मरे थे हम आया वही नहीं।

उनसे कल आ रही थी किसी और की महक,
और वो महक कुछ और ही थी दोस्ती नहीं।

मेरे बग़ैर ख़ुश थी वो किसने ये कह दिया,
ऐसा ही था अगर तो वो फिर लौटती नहीं।

  - Haider Khan

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haider Khan

As you were reading Shayari by Haider Khan

Similar Writers

our suggestion based on Haider Khan

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari