mere bhi to haq mein kabhi koi dua ho | मेरे भी तो हक़ में कभी कोई दुआ हो - Haider Khan

mere bhi to haq mein kabhi koi dua ho
mujhsa ye parinda bhi to yaadon se rihaa ho

chahre to hazaaron hain magar kaun hai apna
chehron se mukhote jo haten to ye pata ho

laakhon hain khade bheed mein phir bhi hoon main tanhaa
har shakhs hi jaise ke mujhe chhod gaya ho

ik shakhs ko gar maan ke baitha tha main duniya
laazim tha ke is jurm ki mujhko bhi saza ho

majhdhaar mein kashti hai hawaaein bhi hain barham
jaise ke jawaani na ho ye koi bala ho

kuch dard zamaane ne to sabko vo diye hain
jinka na ho marham na hi koi dava hai

ye aapki marzi hai humein chhod ke jaana
kyun aap ke jaane se humein koi gila ho

tumse jo mila hoon to mera haal hai badla
patjhad mein bhi jaise ke koi phool khila ho

jis or meri raakh hai dil bhi hai wahin par
mumkin hi nahin hai ke ye patthar bhi jala ho

मेरे भी तो हक़ में कभी कोई दुआ हो
मुझसा ये परिंदा भी तो यादों से रिहा हो

चहरे तो हज़ारों हैं मगर कौन है अपना
चहरों से मुखौटे जो हटें तो ये पता हो

लाखों हैं खड़े भीड़ में फिर भी हूँ मैं तन्हा
हर शख़्स ही जैसे के मुझे छोड़ गया हो

इक शख़्स को गर मान के बैठा था मैं दुनिया
लाज़िम था के इस जुर्म की मुझको भी सज़ा हो

मझधार में कश्ती है हवाएँ भी हैं बरहम
जैसे के जवानी न हो ये कोई बला हो

कुछ दर्द ज़माने ने तो सबको वो दिए हैं
जिनका न हो मरहम न ही कोई दवा है

ये आपकी मर्ज़ी है हमें छोड़ के जाना
क्यों आप के जाने से हमें कोई गिला हो

तुमसे जो मिला हूँ तो मेरा हाल है बदला
पतझड़ में भी जैसे के कोई फूल खिला हो

जिस ओर मेरी राख़ है दिल भी है वहीं पर
मुमकिन ही नहीं है के ये पत्थर भी जला हो

- Haider Khan
2 Likes

Intiqam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haider Khan

As you were reading Shayari by Haider Khan

Similar Writers

our suggestion based on Haider Khan

Similar Moods

As you were reading Intiqam Shayari Shayari