jahaan bhar ki tamaam aankhen nichod kar jitna nam banega | जहान भर की तमाम आँखें निचोड़ कर जितना नम बनेगा - Umair Najmi

jahaan bhar ki tamaam aankhen nichod kar jitna nam banega
ye kul mila kar bhi hijr ki raat mere girye se kam banega

main dasht hoon ye mughalata hai na sha'iraana mubaalgha hai
mere badan par kahi qadam rakh ke dekh naqsh-e-qadam banega

hamaara laashaa bahao warna lahd muqaddas mazaar hogi
ye surkh kurta jalao warna baghawaton ka alam banega

to kyun na ham paanch saath din tak mazid sochen banaane se qibl
meri chhatti his bata rahi hai ye rishta tootega gham banega

mujh aise logon ka tedh-pan qudrati hai so e'itraaz kaisa
shadeed nam khaak se jo paikar banega ye tay hai kham banega

suna hua hai jahaan mein be-kaar kuchh nahin hai so jee rahe hain
bana hua hai yaqeen ki is raaegaani se kuchh ahem banega

ki shahzaade ki aadaten dekh kar sabhi is par muttafiq hain
ye jun hi haakim bana mahal ka wasi'a raqba haram banega

main ek tarteeb se lagata raha hoon ab tak sukoot apna
sada ke waqfe nikaal is ko shuruat se sun ridham banega

safed roomaal jab kabootar nahin bana to vo sho'bda-baaz
palatne waalon se kah raha tha ruko khuda ki qasam banega

जहान भर की तमाम आँखें निचोड़ कर जितना नम बनेगा
ये कुल मिला कर भी हिज्र की रात मेरे गिर्ये से कम बनेगा

मैं दश्त हूँ ये मुग़ालता है न शाइ'राना मुबालग़ा है
मिरे बदन पर कहीं क़दम रख के देख नक़्श-ए-क़दम बनेगा

हमारा लाशा बहाओ वर्ना लहद मुक़द्दस मज़ार होगी
ये सुर्ख़ कुर्ता जलाओ वर्ना बग़ावतों का अलम बनेगा

तो क्यूँ न हम पाँच सात दिन तक मज़ीद सोचें बनाने से क़ब्ल
मिरी छटी हिस बता रही है ये रिश्ता टूटेगा ग़म बनेगा

मुझ ऐसे लोगों का टेढ़-पन क़ुदरती है सो ए'तिराज़ कैसा
शदीद नम ख़ाक से जो पैकर बनेगा ये तय है ख़म बनेगा

सुना हुआ है जहाँ में बे-कार कुछ नहीं है सो जी रहे हैं
बना हुआ है यक़ीं कि इस राएगानी से कुछ अहम बनेगा

कि शाहज़ादे की आदतें देख कर सभी इस पर मुत्तफ़िक़ हैं
ये जूँ ही हाकिम बना महल का वसीअ' रक़्बा हरम बनेगा

मैं एक तरतीब से लगाता रहा हूँ अब तक सुकूत अपना
सदा के वक़्फ़े निकाल इस को शुरूअ' से सुन रिधम बनेगा

सफ़ेद रूमाल जब कबूतर नहीं बना तो वो शो'बदा-बाज़
पलटने वालों से कह रहा था रुको ख़ुदा की क़सम बनेगा

- Umair Najmi
4 Likes

Bahan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Umair Najmi

As you were reading Shayari by Umair Najmi

Similar Writers

our suggestion based on Umair Najmi

Similar Moods

As you were reading Bahan Shayari Shayari