wafa ke paimaan sab bhula kar
jafaaen karte wafa ke qaateel
rasool-e-haq ke jo ummati hain
wahi hain aal-e-aba ke qaateel
ye us ki apni hi maslahat hai
vo jism rakhta nahin hai warna
ye mansabon ke ghasb ke aadi
zaroor hote khuda ke qaateel
na hi amaanat na hi diyaanat
na hi sadaqat na hi sharaafat
nabi ke mimbar par aa gaye hain
nabi ki har ik ada ke qaateel
imaam jin ka yazid hoga
vo kaise jaanen husain kya hai
bane bhi hain qaari laa-ilah ke
ye laa-ilah ki baqa ke qaateel
ye mansabon ke ghasb ke aadi
zaroor hote khuda ke qaateel
वफ़ा के पैमान सब भुला कर
जफ़ाएँ करते वफ़ा के क़ातिल
रसूल-ए-हक़ के जो उम्मती हैं
वही हैं आल-ए-एबा के क़ातिल
ये उस की अपनी ही मस्लहत है
वो जिस्म रखता नहीं है वर्ना
ये मंसबों के ग़सब के आदी
ज़रूर होते ख़ुदा के क़ातिल
न ही अमानत न ही दियानत
न ही सदाक़त न ही शराफ़त
नबी के मिम्बर पर आ गए हैं
नबी की हर इक अदा के क़ातिल
इमाम जिन का यज़ीद होगा
वो कैसे जानें हुसैन क्या है
बने भी हैं क़ारी ला-इलाह के
ये ला-इलाह की बक़ा के क़ातिल
ये मंसबों के ग़सब के आदी
ज़रूर होते ख़ुदा के क़ातिल
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Unknown
our suggestion based on Unknown
As you were reading Nazakat Shayari Shayari