zaheen aap ke dar par sadaaein dete rahe
jo na-samajh the vo dar-dar sadaaein dete rahe
na jaane kaun si aaye sada pasand use
so ham sadaaein badal kar sadaaein dete rahe
palat ke dekhna to us ka farz banta tha
sadaaein farz theen jin par sadaaein dete rahe
main apne jism se baahar talaashta tha unhen
vo mere jism ke andar sadaaein dete rahe
hamaare ashkon ki awaaz sun ke daud pade
vo jin ki pyaas ko saagar sadaaein dete rahe
tumhaari yaad mein phir rat-jaga hua kal aur
sehar mein neend ke paikar sadaaein dete rahe
ज़हीन आप के दर पर सदाएँ देते रहे
जो ना-समझ थे वो दर-दर सदाएँ देते रहे
न जाने कौन सी आए सदा पसंद उसे
सो हम सदाएँ बदल कर सदाएँ देते रहे
पलट के देखना तो उस का फ़र्ज़ बनता था
सदाएँ फ़र्ज़ थीं जिन पर सदाएँ देते रहे
मैं अपने जिस्म से बाहर तलाशता था उन्हें
वो मेरे जिस्म के अंदर सदाएँ देते रहे
हमारे अश्कों की आवाज़ सुन के दौड़ पड़े
वो जिन की प्यास को सागर सदाएँ देते रहे
तुम्हारी याद में फिर रत-जगा हुआ कल और
सहर में नींद के पैकर सदाएँ देते रहे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Varun Anand
our suggestion based on Varun Anand
As you were reading Wahshat Shayari Shayari