phir agli subh mere ghar mein tum akhbaar daaloge
sunaakar tark jo tum aaj mujh ko maar daaloge
tumhaari fikr main karta hoon kaafi ye nahin hai kya
batao aur phir tum mujh pe kitna bhaar daaloge
abhi to tum mere se baat hi karte nahin ho sirf
yun dheere-dheere karke beech mein deewaar daaloge
tumhein kuchh bhi nahin aata siva nafrat ke karne ko
muhabbat karne hogi baste mein hathiyaar daaloge
tumhein pakki muhabbat kya nahin hogi batao phir
tum apne dil mein aur kitne kirayedaar daaloge
फिर अगली सुब्ह मेरे घर में तुम अख़बार डालोगे
सुनाकर तर्क जो तुम आज मुझ को मार डालोगे
तुम्हारी फ़िक्र मैं करता हूँ काफ़ी ये नहीं है क्या
बताओ और फिर तुम मुझ पे कितना भार डालोगे
अभी तो तुम मेरे से बात ही करते नहीं हो सिर्फ़
यूँ धीरे-धीरे करके बीच में दीवार डालोगे
तुम्हें कुछ भी नहीं आता सिवा नफ़रत के करने को
मुहब्बत करनी होगी बस्ते में हथियार डालोगे
तुम्हें पक्की मुहब्बत क्या नहीं होगी बताओ फिर
तुम अपने दिल में और कितने किराएदार डालोगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vibhu Raj
our suggestion based on Vibhu Raj
As you were reading Love Shayari Shayari