sab ke aage nahin bikhrna hai | सब के आगे नहीं बिखरना है - Vikas Sharma Raaz

sab ke aage nahin bikhrna hai
ab junoon aur tarah karna hai

kya zaroorat hai itne khwaabon ki
dast-e-shab paar hi to karna hai

aa gaye zindagi ke jhaanse mein
thaan rakha tha aaj marna hai

poochna chahiye tha dariya ko
doobna hai ki paar utarna hai

band-baaja hai thodi der ka bas
raat bhar kis ne raqs karna hai

सब के आगे नहीं बिखरना है
अब जुनूँ और तरह करना है

क्या ज़रूरत है इतने ख़्वाबों की
दश्त-ए-शब पार ही तो करना है

आ गए ज़िंदगी के झाँसे में
ठान रक्खा था आज मरना है

पूछना चाहिए था दरिया को
डूबना है कि पार उतरना है

बैंड-बाजा है थोड़ी देर का बस
रात भर किस ने रक़्स करना है

- Vikas Sharma Raaz
0 Likes

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vikas Sharma Raaz

As you were reading Shayari by Vikas Sharma Raaz

Similar Writers

our suggestion based on Vikas Sharma Raaz

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari