zindagi ki hasi udaati hui
khwaahish-e-marg sar uthaati hui
kho gai ret ke samundar mein
ik nadi raasta banaati hui
mujh ko akshar udaas karti hai
ek tasveer muskuraati hui
aa gai khaamoshi ke narghe mein
zindagi mujh ko gungunaati hui
main ise bhi udaas kar doonga
subh aayi hai khilkhilaati hui
har andhera tamaam hota hua
jot mein jot ab samaati hui
ज़िंदगी की हँसी उड़ाती हुई
ख़्वाहिश-ए-मर्ग सर उठाती हुई
खो गई रेत के समुंदर में
इक नदी रास्ता बनाती हुई
मुझ को अक्सर उदास करती है
एक तस्वीर मुस्कुराती हुई
आ गई ख़ामुशी के नर्ग़े में
ज़िंदगी मुझ को गुनगुनाती हुई
मैं इसे भी उदास कर दूँगा
सुब्ह आई है खिलखिलाती हुई
हर अँधेरा तमाम होता हुआ
जोत में जोत अब समाती हुई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vikas Sharma Raaz
our suggestion based on Vikas Sharma Raaz
As you were reading Sad Shayari Shayari