khul ke milne ka saleeqa aap ko aata nahin | खुल के मिलने का सलीक़ा आप को आता नहीं - Waseem Barelvi

khul ke milne ka saleeqa aap ko aata nahin
aur mere paas koi chor darwaaza nahin

vo samajhta tha use pa kar hi main rah jaaunga
us ko meri pyaas ki shiddat ka andaaza nahin

ja dikha duniya ko mujh ko kya dikhaata hai ghuroor
tu samundar hai to hai main to magar pyaasa nahin

koi bhi dastak kare aahat ho ya awaaz de
mere haathon mein mera ghar to hai darwaaza nahin

apnon ko apna kaha chahe kisi darje ke hon
aur jab aisa kiya main ne to sharmaaya nahin

us ki mehfil mein unhin ki raushni jin ke charaagh
main bhi kuch hota to mera bhi diya hota nahin

tujh se kya bichhda meri saari haqeeqat khul gai
ab koi mausam mile to mujh se sharmaata nahin

खुल के मिलने का सलीक़ा आप को आता नहीं
और मेरे पास कोई चोर दरवाज़ा नहीं

वो समझता था उसे पा कर ही मैं रह जाऊंगा
उस को मेरी प्यास की शिद्दत का अंदाज़ा नहीं

जा दिखा दुनिया को मुझ को क्या दिखाता है ग़ुरूर
तू समुंदर है तो है मैं तो मगर प्यासा नहीं

कोई भी दस्तक करे आहट हो या आवाज़ दे
मेरे हाथों में मिरा घर तो है दरवाज़ा नहीं

अपनों को अपना कहा चाहे किसी दर्जे के हों
और जब ऐसा किया मैं ने तो शरमाया नहीं

उस की महफ़िल में उन्हीं की रौशनी जिन के चराग़
मैं भी कुछ होता तो मेरा भी दिया होता नहीं

तुझ से क्या बिछड़ा मिरी सारी हक़ीक़त खुल गई
अब कोई मौसम मिले तो मुझ से शरमाता नहीं

- Waseem Barelvi
6 Likes

Mehfil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Waseem Barelvi

As you were reading Shayari by Waseem Barelvi

Similar Writers

our suggestion based on Waseem Barelvi

Similar Moods

As you were reading Mehfil Shayari Shayari