bade ghar mein ab hai biyaahi gai vo
meri chhote se dil mein aayi nahin jo
vo sajti sanwarti na banti jo dulhan
to kya aur karti meri jaan batao
aziyyat mili aashnaai mein ab tak
vo kah ke gai ab rihaai mujhe do
mujhe dekh mandap mein rone lagi thi
main paagal use bewafa kah raha jo
suna maine hai rooh marti nahin hai
chitaa aashiqon kii sahi se jalao
khushi bhi nahin hoti gham bhi nahin ab
mujhe ab kisi doctor ko dikhaao
lage chubhne ab khwaab aankhon mein hamdam
meri raat hone se pehle na jaao
बड़े घर में अब है बियाही गई वो
मिरी छोटे से दिल में आई नहीं जो
वो सजती सँवरती न बनती जो दुल्हन
तो क्या और करती मेरी जाँ बताओ
अज़िय्यत मिली आश्नाई में अब तक
वो कह के गई अब रिहाई मुझे दो
मुझे देख मंडप में रोने लगी थी
मैं पागल उसे बेवफ़ा कह रहा जो
सुना मैंने है रूह मरती नहीं है
चिता आशिक़ों की सही से जलाओ
ख़ुशी भी नहीं होती ग़म भी नहीं अब
मुझे अब किसी डॉक्टर को दिखाओ
लगे चुभने अब ख़्वाब आँखों में हमदम
मेरी रात होने से पहले न जाओ
As you were reading Shayari by Anuj Vats
our suggestion based on Anuj Vats
As you were reading undefined Shayari