us ke shokh labon ki laali das legi | उस के शोख़ लबों की लाली डस लेगी

  - Yahya Khan Yusuf Zai

us ke shokh labon ki laali das legi
naagan jaisi aankhon waali das legi

us ke zahar-e-nigaah mein koi masti hai
lagta hai vo chashm-e-ghazaali das legi

shehzaadi ka jism khazaane jaisa hai
pahre-daaron ko rakhwaali das legi

din bhar to office mein bak bak karta hoon
shaam ko phir tanhaai saali das legi

kaun kisi ka bojh yahan par sahta hai
aakhir phoolon ko bhi daali das legi

उस के शोख़ लबों की लाली डस लेगी
नागन जैसी आँखों वाली डस लेगी

उस के ज़हर-ए-निगाह में कोई मस्ती है
लगता है वो चश्म-ए-ग़ज़ाली डस लेगी

शहज़ादी का जिस्म ख़ज़ाने जैसा है
पहरे-दारों को रखवाली डस लेगी

दिन भर तो ऑफ़िस में बक बक करता हूँ
शाम को फिर तन्हाई साली डस लेगी

कौन किसी का बोझ यहाँ पर सहता है
आख़िर फूलों को भी डाली डस लेगी

  - Yahya Khan Yusuf Zai

Masti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yahya Khan Yusuf Zai

As you were reading Shayari by Yahya Khan Yusuf Zai

Similar Writers

our suggestion based on Yahya Khan Yusuf Zai

Similar Moods

As you were reading Masti Shayari Shayari