magar ham ne dekha
ki veeraan ghaati ka daaman bhara tha
bahut saari cheezen
hawaon ke paanv se uljhi hui theen
duaon ki
khaali aur aundhi padi sheeshiyaan
aur tooti hui panjgaana namaazen
nawaafil-o-siyaam ki sakht dhaalen
masaajid ke raston mein todi gai
jootiyon
aur qadam-dar-qadam
nekiyon ki qataarein
vazaaif-o-darood-o-munaajaat ke
ik riban mein bandhe
khudawand-e-aalam ki rassi ke tukde
aur aisi bahut saari cheezen
khuda ki khudaai mein bikhri hui theen
ki jaise yahan
raat thehre hue kaarwaan ko
ab un ki zaroorat na thi
ki bakshish ka khaali canister
bahut bhar gaya tha
magar nek naamon ki phenki hui
bahut saari cheezein ke
is dher mein
koi hamsaaye ka dard
us par bahaaya gaya garm aansu nahin tha
koi bhook ko kaatne waala dildaar chaakoo nahin tha
sakhaawat ka khaamosh haath
aur shaqawat pe uthata hua koi baazu nahin tha
bahut saari cheezen theen
lekin kahi bhi taraazu nahin tha
मगर हम ने देखा
कि वीरान घाटी का दामन भरा था
बहुत सारी चीज़ें
हवाओं के पाँव से उलझी हुई थीं
दुआओं की
ख़ाली और औंधी पड़ी शीशियाँ
और टूटी हुई पंजगाना नमाज़ें
नवाफ़िल-ओ-सियाम की सख़्त ढालें
मसाजिद के रस्तों में तोड़ी गई
जूतियों
और क़दम-दर-क़दम
नेकियों की क़तारें
वज़ाइफ़-ओ-दरूद-ओ-मुनाजात के
इक रिबन में बंधे
ख़ुदावंद-ए-आलम की रस्सी के टुकड़े
और ऐसी बहुत सारी चीज़ें
ख़ुदा की ख़ुदाई में बिखरी हुई थीं
कि जैसे यहाँ
रात ठहरे हुए कारवाँ को
अब उन की ज़रूरत न थी
कि बख़्शिश का ख़ाली कनस्तर
बहुत भर गया था
मगर नेक नामों की फेंकी हुई
बहुत सारी चीज़ों के
इस ढेर में
कोई हमसाए का दर्द
उस पर बहाया गया गर्म आँसू नहीं था
कोई भूक को काटने वाला दिलदार चाक़ू नहीं था
सख़ावत का ख़ामोश हाथ
और शक़ावत पे उठता हुआ कोई बाज़ू नहीं था
बहुत सारी चीज़ें थीं
लेकिन कहीं भी तराज़ू नहीं था
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Yameen
As you were reading Neend Shayari Shayari