haseen khayal jo paiham unhen sataane lage | हसीं ख़याल जो पैहम उन्हें सताने लगे

  - Yasir Abbas

haseen khayal jo paiham unhen sataane lage
vo be-khudi se meri shaayri sunaane lage

bade ghuroor se kahte the yaad aati nahin
gaye jo hijr ki waadi to gidgidane lage

diya payaam bhi qaasid ko be-qaraari mein
liya tha naam ki do hont kapkapaane lage

hamaara zikr gawara na tha kabhi jin ko
hamaari baat pe hawle se muskuraane lage

mujhe sukhun bhi laga ain apna ilhaamee
meri ghazal jo vo mehfil mein gungunaane lage

हसीं ख़याल जो पैहम उन्हें सताने लगे
वो बे-ख़ुदी से मिरी शाइरी सुनाने लगे

बड़े ग़ुरूर से कहते थे याद आती नहीं
गए जो हिज्र की वादी तो गिड़गिड़ाने लगे

दिया पयाम भी क़ासिद को बे-क़रारी में
लिया था नाम कि दो होंट कपकपाने लगे

हमारा ज़िक्र गवारा न था कभी जिन को
हमारी बात पे हौले से मुस्कुराने लगे

मुझे सुख़न भी लगा ऐन अपना इल्हामी
मिरी ग़ज़ल जो वो महफ़िल में गुनगुनाने लगे

  - Yasir Abbas

Judai Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Yasir Abbas

Similar Moods

As you were reading Judai Shayari Shayari