saath tere aur chal saktaa nahin
raakh hoon ab aur jal saktaa nahin
aandhiyaan aayein ki ab toofaan chalen
raah apni main badal saktaa nahin
thak gaya hoon besabab chalte hue
ishq mein ab aur chal saktaa nahin
jism kii betaabiyon se maat kha
rooh ko ab aur chhal saktaa nahin
chhod doonga ye jahaan tere liye
ab tujhe main aur khal saktaa nahin
kab talak paani se main darta rahoon
barf hoon par aur gal saktaa nahin
raat se main dosti kaise karoon
soory hoon ab aur dhal saktaa nahin
साथ तेरे और चल सकता नहीं
राख हूँ अब और जल सकता नहीं
आँधियाँ आएँ कि अब तूफ़ाँ चलें
राह अपनी मैं बदल सकता नहीं
थक गया हूँ बेसबब चलते हुए
इश्क़ में अब और चल सकता नहीं
जिस्म की बेताबियों से मात खा
रूह को अब और छल सकता नहीं
छोड़ दूँगा ये जहां तेरे लिए
अब तुझे मैं और खल सकता नहीं
कब तलक पानी से मैं डरता रहूँ
बर्फ़ हूँ पर और गल सकता नहीं
रात से मैं दोस्ती कैसे करूँ
सूर्य हूँ अब और ढल सकता नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yogendra Singh Raghuwanshi
our suggestion based on Yogendra Singh Raghuwanshi
As you were reading Paani Shayari Shayari