ashnaan karne ghar se chale laala-laal-chand
aur aage aage lala ke un ki bahu gai
poocha jo main ne lala lallaain kahaan gaeein
neechi nazar se kehne lage vo bhi choo gai
main ne diya jawaab unhen az-rah-e-mazaq
kya vo bhi koi chat thi ki baarish se choo gai
kehne lage ki aap bhi hain maskhare ajab
ab tak bhi aap se na tamaskhur ki khoo gai
choo hoshiyaar par main nadi se hai ye muraad
bibi tameez bhi hain wahin karne wuzoo gai
main ne kaha ki choo se agar hai muraad joo
phir yun kaho ki ta-b-lab-e-aab-joo gai
kyun ainthen hain maash ke aate ki tarah aap
dhoti se aap ki nahin haldi ki boo gai
lutfe-zabaan se kya ho sarokaar aap ko
daaman ko aap ke nahin tahzeeb choo gai
hindi ne aa ke jeem kooche se badal diya
choo aayi kohsaar se gulshan se joo gai
lahja hua durusht zabaan ho gai karkht
lutf-e-kalam-o-shistagi-e-guftugu gai
maani ko hai gila ki hua be-hijaab main
shikwa hai lafz ko ki meri aabroo gai
afsos mulk mein na rahi faarsi ki qadr
masti udri sharaab se phoolon ki boo gai
अश्नान करने घर से चले लाला-लाल-चंद
और आगे आगे लाला के उन की बहू गई
पूछा जो मैं ने लाला लल्लाइन कहाँ गईं
नीची नज़र से कहने लगे वो भी चू गई
मैं ने दिया जवाब उन्हें अज़-रह-ए-मज़ाक़
क्या वो भी कोई छत थी कि बारिश से चू गई
कहने लगे कि आप भी हैं मस्ख़रे अजब
अब तक भी आप से न तमस्ख़ुर की ख़ू गई
चू होशियार पर मैं नदी से है ये मुराद
बीबी तमीज़ भी हैं वहीं करने वुज़ू गई
मैं ने कहा कि चू से अगर है मुराद जू
फिर यूँ कहो कि ता-ब-लब-ए-आब-जू गई
क्यूँ ऐंठें हैं माश के आटे की तरह आप
धोती से आप की नहीं हल्दी की बू गई
लुत्फ़-ए-ज़बाँ से क्या हो सरोकार आप को
दामन को आप के नहीं तहज़ीब छू गई
हिन्दी ने आ के जीम कूचे से बदल दिया
चू आई कोहसार से गुलशन से जू गई
लहजा हुआ दुरुश्त ज़बाँ हो गई करख़्त
लुत्फ़-ए-कलाम-ओ-शिस्तगी-ए-गुफ़्तुगू गई
मा'नी को है गिला कि हुआ बे-हिजाब मैं
शिकवा है लफ़्ज़ को कि मिरी आबरू गई
अफ़्सोस मुल्क में न रही फ़ारसी की क़द्र
मस्ती उड़ी शराब से फूलों की बू गई
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Zafar Ali Khan
As you were reading Aarzoo Shayari Shayari