mile na jab kahi qaraar jaun ko padha karo
ghamon mein aayega nikhaar jaun ko padha karo
kitaab mein usi ki sab nishaaniyon ko dekh kar
raho na tum yun ashqbaar jaun ko padha karo
ye chaar soo ghubaar jo yahan p teergi ke hain
hatenge vo sabhi ghubaar jaun ko padha karo
agar tum intizaar mein raho kahi p mubtala
milega lutf-e-intizaar jaun ko padha karo
ki shaairo ki bazm mein milengi tum ko izzatein
badhega har jagah vaqaar jaun ko padha karo
mere ghamon se aashna rahogi meri faareha
bana ke zulf-e-be qaraar jaun ko padha karo
khayal mein hazaar naam aayenge zaroor par
sabhi ko kar ke darkinaar jaun ko padha karo
ilaaj dard ka kai dafa talab kiya gaya
kaha zaman ne baar-baar jaun ko padha karo
मिले न जब कहीं क़रार जौन को पढ़ा करो
ग़मों में आएगा निखार जौन को पढ़ा करो
किताब में उसी की सब निशानियों को देख कर
रहो न तुम यूँ अश्क़बार जौन को पढ़ा करो
ये चार सू ग़ुबार जो यहाँ प तीरगी के हैं
हटेंगे वो सभी ग़ुबार जौन को पढ़ा करो
अगर तुम इंतिज़ार में रहो कहीं प मुब्तला
मिलेगा लुत्फ़-ए-इंतिज़ार जौन को पढ़ा करो
कि शाइरो की बज़्म में मिलेंगी तुम को इज़्ज़तें
बढ़ेगा हर जगह वक़ार जौन को पढ़ा करो
मिरे ग़मों से आश्ना रहोगी मेरी फ़ारेहा
बना के ज़ुल्फ़-ए-बे क़रार जौन को पढ़ा करो
ख़याल में हज़ार नाम आएँगे ज़रूर, पर
सभी को कर के दरकिनार जौन को पढ़ा करो
इलाज दर्द का कई दफ़ा तलब किया गया
कहा ज़मन ने बार-बार जौन को पढ़ा करो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Zaman Zaidi ZAMAN
our suggestion based on Zaman Zaidi ZAMAN
As you were reading Ilm Shayari Shayari