kaun kiski shakl mein rehta hai ab bolo zameen par
jaanwar ki shakl mein insaan rahte the yahin par
cheen lo sab kuchh magar ye yaad rakhna o sitamgar
tum mitaoge jahaan aaseb ubharega wahin par
kyun duaaein bhej di jaati hain waapas aasmaan se
un duaon mein mili hain bad duaaein bhi kahi par
jaante hain sab ki daaman saaf hoga isliye bhi
dekh kar hairaan hain sab khoon mere aasteen par
कौन किसकी शक्ल में रहता है अब बोलो ज़मीं पर
जानवर की शक्ल में इंसान रहते थे यहीं पर
छीन लो सब कुछ मगर ये याद रखना ओ सितमगर
तुम मिटाओगे जहाँ आसेब उभरेगा वहीं पर
क्यों दुआएँ भेज दी जाती हैं वापस आसमाँ से
उन दुआओं में मिली हैं बद दुआएँ भी कहीं पर
जानते हैं सब कि दामन साफ़ होगा इसलिए भी
देख कर हैरान हैं सब ख़ून मेरे आस्तीं पर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tarun Pandey
our suggestion based on Tarun Pandey
As you were reading Insaan Shayari Shayari