ek pahuncha hua musaafir hai | एक पहुँचा हुआ मुसाफ़िर है

  - Zubair Ali Tabish

ek pahuncha hua musaafir hai
dil bhatkne mein phir bhi maahir hai

kaun laaya hai ishq par eemaan
main bhi kaafir hoon tu bhi kaafir hai

dard ka vo jo harf-e-awwal tha
dard ka vo hi harf-e-aakhir hai

kaam adhoora pada hai khwaabon ka
aaj phir neend ghair-haazir hai

laaj rakh li tiri sama'at ne
warna taabish bhi koi shaair hai

एक पहुँचा हुआ मुसाफ़िर है
दिल भटकने में फिर भी माहिर है

कौन लाया है इश्क़ पर ईमाँ
मैं भी काफ़िर हूँ तू भी काफ़िर है

दर्द का वो जो हर्फ़-ए-अव्वल था
दर्द का वो ही हर्फ़-ए-आख़िर है

काम अधूरा पड़ा है ख़्वाबों का
आज फिर नींद ग़ैर-हाज़िर है

लाज रख ली तिरी समाअ'त ने
वर्ना 'ताबिश' भी कोई शाइर है

  - Zubair Ali Tabish

One sided love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Zubair Ali Tabish

As you were reading Shayari by Zubair Ali Tabish

Similar Writers

our suggestion based on Zubair Ali Tabish

Similar Moods

As you were reading One sided love Shayari Shayari