gard jam jaaye to sheesha nahin dekha jaata | गर्द जम जाए तो शीशा नहीं देखा जाता - Aadil Rahi

gard jam jaaye to sheesha nahin dekha jaata
ya'ni tasveer ko dhundla nahin dekha jaata

tishnagi aa tujhe dariya ke hawaale kar doon
tujh ko is haal mein pyaasa nahin dekha jaata

tum mera naam-o-nasab pooch rahe ho sab se
ishq ho jaaye to shajra nahin dekha jaata

laut aane ki tasalli tiri jhooti hi sahi
ab to mud-mud ke yun rasta nahin dekha jaata

sher achhe jo bure lagte hain duniya ko mere
ho ghazal mein tira charcha nahin dekha jaata

log milte hain bichhadte hain magar kyun mujh se
yun tira chhod ke jaana nahin dekha jaata

izz-o-tauqeer ka ye haal hasad mein hum se
qad kisi ka bhi ho ooncha nahin dekha jaata

गर्द जम जाए तो शीशा नहीं देखा जाता
या'नी तस्वीर को धुँदला नहीं देखा जाता

तिश्नगी आ तुझे दरिया के हवाले कर दूँ
तुझ को इस हाल में प्यासा नहीं देखा जाता

तुम मिरा नाम-ओ-नसब पूछ रहे हो सब से
इश्क़ हो जाए तो शजरा नहीं देखा जाता

लौट आने की तसल्ली तिरी झूटी ही सही
अब तो मुड़-मुड़ के यूँ रस्ता नहीं देखा जाता

शेर अच्छे जो बुरे लगते हैं दुनिया को मिरे
हो ग़ज़ल में तिरा चर्चा नहीं देखा जाता

लोग मिलते हैं बिछड़ते हैं मगर क्यों मुझ से
यूँ तिरा छोड़ के जाना नहीं देखा जाता

इज़्ज़-ओ-तौक़ीर का ये हाल हसद में हम से
क़द किसी का भी हो ऊँचा नहीं देखा जाता

- Aadil Rahi
3 Likes

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aadil Rahi

As you were reading Shayari by Aadil Rahi

Similar Writers

our suggestion based on Aadil Rahi

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari