dil mein rehta hai ye gham jaise ki apna yaar ho
ishq hone se to behtar hai ki achha yaar ho
bin kahe sab kuchh samajh le mere dil ka haal jo
mujhko jaane mujhse zyaada koi aisa yaar ho
kyun banaayein nakhuda se dosti ka rabt agar
junglon se dosti ho aur dariya yaar ho
aur bhi aasaan rahega zindagi ka ye safar
manzilon ki justuju mein raaston sa yaar ho
phir use kis cheez ki hogi kami ai bewafa
jiske pahluu mein hamesha tere jaisa yaar ho
दिल में रहता है ये ग़म जैसे कि अपना यार हो
इश्क़ होने से तो बेहतर है कि अच्छा यार हो
बिन कहे सब कुछ समझ ले मेरे दिल का हाल जो
मुझको जाने मुझसे ज्यादा कोई ऐसा यार हो
क्यूं बनाएं नाख़ुदा से दोस्ती का रब्त अगर
जंगलों से दोस्ती हो और दरिया यार हो
और भी आसाँ रहेगा ज़िन्दगी का ये सफ़र
मंज़िलों की जुस्तुजू में रास्तों सा यार हो
फिर उसे किस चीज की होगी कमी ऐ बेवफ़ा
जिसके पहलू में हमेशा तेरे जैसा यार हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aditya
our suggestion based on Aditya
As you were reading Zindagi Shayari Shayari