mere hisse chain ki koi raat nahin
ya phir mere sone ke haalaat nahin
mujhko khel mein raja samjha jaata hai
lekin meri piddi si auqaat nahin
meri tanhaai meri qismat mein hai
ya phir shehar mein koi aadam jaat nahin
ye jo kuchh aansu kaaghaz par bikhre hain
dard bayaani hain mere jazbaat nahin
roz khuda se tujhko maanga karta hoon
bas tujhko hi yaadon ki baaraat nahin
bas ek lateefa lagti thi maut hamein
darta hoon jab haath mein tera haath nahin
ishq bhara vo lahza vo lambi baatein
mere haq mein pehle si barsaat nahin
mere rone pe tum bilkul mat rona
duniya hai chalta hai koi baat nahin
ishq mein haare log hain sahab ab ham mein
ishq dobaara karne ki aukaat nahin
jeet ka moh nahin ik tarfa aashiq hoon
afsos to ho saka hai par maat nahin
मेरे हिस्से चैन की कोई रात नहीं
या फिर मेरे सोने के हालात नहीं
मुझको खेल में राजा समझा जाता है
लेकिन मेरी पिद्दी सी औक़ात नहीं
मेरी तन्हाई मेरी क़िस्मत में है
या फिर शहर में कोई आदम जात नहीं
ये जो कुछ आँसू काग़ज़ पर बिखरे हैं
दर्द बयानी हैं मेरे जज़्बात नहीं
रोज ख़ुदा से तुझको मांगा करता हूं
बस तुझको ही, यादों की बारात नहीं
बस एक लतीफ़ा लगती थी मौत हमें
डरता हूं जब हात में तेरा हात नहीं
इश्क़ भरा वो लहज़ा वो लम्बी बातें
मेरे हक़ में पहले सी बरसात नहीं
मेरे रोने पे तुम बिल्कुल मत रोना
दुनिया है, चलता है कोई बात नहीं
इश्क़ में हारे लोग हैं साहब अब हम में
इश्क़ दुबारा करने की औकात नहीं
जीत का मोह नहीं इक तरफा आशिक़ हूं
अफ़सोस तो हो सकता है पर मात नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aditya
our suggestion based on Aditya
As you were reading Gaon Shayari Shayari