hamko to koi humsafar na mila
milna bhi tha kabhi magar na mila
khuld mein dhundhkar nikaloonga
mujhko dharti pe tu agar na mila
zakhm saagar ka kashti khaati rahi
haashiya koi raat bhar na mila
zulm beton ke sahne padte hain
ghar mein rahkar bhi maa ko ghar na mila
teergi ko gumaan hai khud par
chaandni ko bhi yaa pe dar na mila
karta bhi kya main aisi raaton mein
jismein mujhko mera qamar na mila
हमको तो कोई हमसफ़र न मिला
मिलना भी था कभी मगर न मिला
ख़ुल्द में ढूँढ़कर निकालूँगा
मुझको धरती पे तू अगर न मिला
ज़ख़्म सागर का कश्ती खाती रही
हाशिया कोई रात भर न मिला
ज़ुल्म बेटों के सहने पड़ते हैं
घर में रहकर भी माँ को घर न मिला
तीरगी को गुमान है ख़ुद पर
चाँदनी को भी याँ पे दर न मिला
करता भी क्या मैं ऐसी रातों में
जिसमें मुझको मेरा क़मर न मिला
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Teer Shayari Shayari