duniya ki mushkilaat se aage nikal gaye | दुनिया की मुश्किलात से आगे निकल गए

  - Adnan Raza

duniya ki mushkilaat se aage nikal gaye
jo log nafsiyaat se aage nikal gaye

taalib tamaam umr kitaabon mein rah gaya
darvesh qaa'inaat se aage nikal gaye

masjid ki seedhiyon pe meri aankh lag gai
aur khwaab pulsiraat se aage nikal gaye

ik ajnabi ki aankh se nikle hue sukhun
mere tasavvuraat se aage nikal gaye

daftar tera bhala ho ke masroofiyat mein ham
dil ke muaamlaat se aage nikal gaye

ulfat bade kamaal ki hamse qaza ko thi
ham bhi zara hayaat se aage nikal gaye

bachpan mein dil ko maarna seekha tha isliye
ham log khwaahishaat se aage nikal gaye

likkhe jo us nigaah ne maane sharaab ke
saaki teri lughat se aage nikal gaye

shart-e-razaa mein sirf muhabbat ki baat thi
adnaan tum to baat se aage nikal gaye

दुनिया की मुश्किलात से आगे निकल गए
जो लोग नफ़्सियात से आगे निकल गए

तालिब तमाम उम्र किताबों में रह गया
दरवेश क़ाएनात से आगे निकल गए

मस्जिद की सीढ़ियों पे मेरी आँख लग गई
और ख़्वाब पुलसिरात से आगे निकल गए

इक अजनबी की आँख से निकले हुए सुख़न
मेरे तसव्वुरात से आगे निकल गए

दफ़्तर तेरा भला हो के मसरूफ़ियत में हम
दिल के मुआमलात से आगे निकल गए

उल्फ़त बड़े कमाल की हमसे क़ज़ा को थी
हम भी ज़रा हयात से आगे निकल गए

बचपन में दिल को मारना सीखा था इसलिए
हम लोग ख़्वाहिशात से आगे निकल गए

लिक्खे जो उस निगाह ने माने शराब के
साकी तेरी लुग़ात से आगे निकल गए

शर्तएरज़ा में सिर्फ़ मुहब्बत की बात थी
अदनान तुम तो बात से आगे निकल गए

  - Adnan Raza

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Adnan Raza

As you were reading Shayari by Adnan Raza

Similar Writers

our suggestion based on Adnan Raza

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari