dil ko mere bas yahi malaal hai | दिल को मेरे बस यही मलाल है

  - Afzal Ali Afzal

dil ko mere bas yahi malaal hai
hijr apne darmiyaan bahaal hai

dil ye boodha gham se kyun nidhaal hai
kya mohabbaton ka ye zawaal hai

pagadiyon se hain bandhe hue qadam
aur pagadiyon ka hi khyaal hai

aise ghaav de diye hain ishq ne
rooh tak bhi khoon-e-dil se laal hai

gham ki dhun pe raqs karti zindagi
dhadkanoon ka shor deta taal hai

haay rukh pe mahtaab sa hai noor
aur us pe zer-e-lab jo khaal hai

pee ke jaam shekh jee bata rahe
kya hai shirk aur kya halaal hai

pehle ishq deta hai sukoon phir
laakh tohmato ka ek jaal hai

jaan deta hai to de koi magar
kis ko yaan kisi ka ab khyaal hai

ye kidhar se aa raha hai mahtaab
us ka ghar to jaanib-e-shumaal hai

दिल को मेरे बस यही मलाल है
हिज्र अपने दरमियाँ बहाल है

दिल ये बूढ़ा ग़म से क्यूँ निढाल है
क्या मोहब्बतों का ये ज़वाल है

पगड़ियों से हैं बंधे हुए क़दम
और पगड़ियों का ही ख़याल है

ऐसे घाव दे दिए हैं इश्क़ ने
रूह तक भी ख़ून-ए-दिल से लाल है

ग़म की धुन पे रक़्स करती ज़िन्दगी
धड़कनों का शोर देता ताल है

हाय  रुख़  पे   माहताब   सा  है  नूर
और उस पे ज़ेर-ए-लब जो ख़ाल है

पी के जाम शेख़ जी बता रहे
क्या है शिर्क और क्या हलाल है

पहले इश्क़ देता है सुकून फिर
लाख तोहमतों का एक जाल है

जान देता है तो दे कोई मगर
किस को यां किसी का अब ख़याल है

ये किधर से आ रहा है माहताब
उस का घर तो जानिब-ए-शुमाल है

  - Afzal Ali Afzal

Taareef Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Ali Afzal

As you were reading Shayari by Afzal Ali Afzal

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Ali Afzal

Similar Moods

As you were reading Taareef Shayari Shayari