khatm kya hum bhi zindagi kar len | ख़त्म क्या हम भी ज़िन्दगी कर लें - Aqib khan

khatm kya hum bhi zindagi kar len
man ye karta hai khudkushi kar len

aur ziyaada uljhte jaate hain
jab bhi socha ke sab sahi kar len

hum muhabbat lutaaye jaate hain
jo siyaasat hai aap hi kar len

had se ziyaada to kuch bhi theek nahin
khud mein ab aapki kami kar len

phir na jaane ke main miloon na miloon
saare shikwe gile abhi kar len

aapse ishq to nahin hona
aap bas apni naukri kar len

bahar ki than gai khayaalon se
jab bhi socha ke shayari kar len

vaise dushman nahin tumhaara main
aise hi man tha mukhbari kar len

ख़त्म क्या हम भी ज़िन्दगी कर लें
मन ये करता है ख़ुदकुशी कर लें

और ज़्यादा उलझते जाते हैं
जब भी सोचा के सब सही कर लें

हम मुहब्बत लुटाए जाते हैं
जो सियासत है... आप ही कर लें

हद से ज़्यादा तो कुछ भी ठीक नहीं
ख़ुद में अब आपकी कमी कर लें

फिर न जाने के मैं मिलूँ न मिलूँ
सारे शिकवे गिले अभी कर लें

आपसे इश्क़ तो नहीं होना
आप बस अपनी नौकरी कर लें

बहर की ठन गई ख़यालों से
जब भी सोचा के शायरी कर लें

वैसे दुश्मन नहीं तुम्हारा मैं
ऐसे ही मन था मुख़्बरी कर लें

- Aqib khan
0 Likes

Politics Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aqib khan

As you were reading Shayari by Aqib khan

Similar Writers

our suggestion based on Aqib khan

Similar Moods

As you were reading Politics Shayari Shayari