vo ja chuka aur aankh teri abhi talak kyun bhari nahin hai
sawaal ye kuchh ajeeb sa hai ke sehra mein kyun nami nahin hai
haseen itna ke sab haseenon ko peeche chhode jahaan bhi jaaye
kamaal itna ke bewafaai mein usse aage koi nahin hai
tamaam bhanware isee jugat mein lage hue hain kisi tarah se
bana len rasta vo dil mein uske kali jo ab tak khili nahin hai
tumhaare baare mein sach kaha hai kharab lagana to laazimi hai
tumhein ye itni jo lag rahi hai ye baat itni buri nahin hai
kahi pe pyaala pakad ke koi khushi se jhoome hi ja raha hai
kisi ko hain takht-o-taaj haasil magar zara bhi khushi nahin hai
वो जा चुका और आँख तेरी अभी तलक क्यों भरी नहीं है
सवाल ये कुछ अजीब सा है के सहरा में क्यों नमी नहीं है
हसीन इतना के सब हसीनों को पीछे छोड़े जहाँ भी जाए
कमाल इतना के बेवफ़ाई में उससे आगे कोई नहीं है
तमाम भँवरे इसी जुगत में लगे हुए हैं किसी तरह से
बना लें रस्ता वो दिल में उसके कली जो अब तक खिली नहीं है
तुम्हारे बारे में सच कहा है खराब लगना तो लाज़िमी है
तुम्हें ये इतनी जो लग रही है ये बात इतनी बुरी नहीं है
कहीं पे प्याला पकड़ के कोई खुशी से झूमे ही जा रहा है
किसी को हैं तख़्त-ओ-ताज हासिल मगर ज़रा भी खुशी नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aqib khan
our suggestion based on Aqib khan
As you were reading Bewafai Shayari Shayari