husain | "हुसैन"

  - Betaab Murtaza

husain

mere pyaare bete husain
nahin hai tere bina dil ko chain
jab yaad aati hai teri
aankh bhar aati hai meri
mujhe to bahut thi khushi tere aane ki
kya thi tujhe itni jaldi jaane ki
itne maasoom ko kabhi beemaar dekha na tha
aisa bhari janaaza kabhi socha na tha
jab tu had se ziyaada yaad aata hai
tera baap kalam utha ke kuchh likh leta hai
zamaana poochta hai safedi ka sabab munh par
kaun jaanta hai bhaar tere janaaze ka rooh par
shaayad behtar maqaam par hai tu
teri takleefon se amaan par hai tu
bas yahi bolta hoon
tere maa ke aansu pochta hoon

"हुसैन"

मेरे प्यारे बेटे हुसैन
नहीं है तेरे बिना दिल को चैन
जब याद आती है तेरी
आँख भर आती है मेरी
मुझे तो बहुत थी ख़ुशी तेरे आने की
क्या थी तुझे इतनी जल्दी जाने की
इतने मासूम को कभी बीमार देखा न था
ऐसा भारी जनाज़ा कभी सोचा न था
जब तू हद से ज़्यादा याद आता है
तेरा बाप कलम उठा के कुछ लिख लेता है
ज़माना पूछता है सफ़ेदी का सबब मुँह पर
कौन जानता है भार तेरे जनाज़े का रूह पर
शायद बेहतर मक़ाम पर है तू
तेरी तकलीफ़ों से अमान पर है तू
बस यही बोलता हूँ
तेरे माँ के आँसू पोछता हूँ

  - Betaab Murtaza

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Betaab Murtaza

As you were reading Shayari by Betaab Murtaza

Similar Writers

our suggestion based on Betaab Murtaza

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari