soch kar ye chala tere ghar se | सोच कर ये चला तेरे घर से - Chetan

soch kar ye chala tere ghar se
bojh kuchh to ghate tere sar se

kam asar zakham ka tabhi hoga
jab milegi nigaah dilbar se

dekh qaateel bhula chuke hain ham
jo shikaayat hamein thi khanjar se

vo jinhen ham nadeem kahte the
dard deta raha vo nashtar se

yaad mein uski kho gaye hain ham
koi rishta raha na rahbar se

jaan kisi apne par luta di thi
koi rishta nahin hai paikar se

khwaab kuchh yun dikha gaya tha vo
neend khulti thi uski jhanjhar se

dekh muskaan mere chehre ki
vo mujhe kha raha hai andar se

kaun is bheed mein tera chetan
log rahte hain door muztar se

सोच कर ये चला तेरे घर से
बोझ कुछ तो घटे तेरे सर से

कम असर ज़ख़्म का तभी होगा
जब मिलेगी निगाह दिलबर से

देख क़ातिल भुला चुके हैं हम
जो शिकायत हमें थी खंजर से

वो जिन्हें हम नदीम कहते थे
दर्द देता रहा वो नश्तर से

याद में उसकी खो गए हैं हम
कोई रिश्ता रहा न रहबर से

जाँ किसी अपने पर लुटा दी थी
कोई रिश्ता नहीं है पैकर से

ख़्वाब कुछ यूँ दिखा गया था वो
नींद खुलती थी उसकी झाँझर से

देख मुस्कान मेरे चेहरे की
वो मुझे खा रहा है अंदर से

कौन इस भीड़ में तेरा चेतन
लोग रहते हैं दूर मुज़्तर से

- Chetan
1 Like

Bahan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Chetan

As you were reading Shayari by Chetan

Similar Writers

our suggestion based on Chetan

Similar Moods

As you were reading Bahan Shayari Shayari