yun tujhe dhūḍhna hua mushkil
teri yaadein hi ban gai haa'il
mere ehsaas the tawazun mein
phir hua vo hayaat mein daakhil
aakhiri baar milna baaki hai
hijr mujh par hua nahin naazil
jab ki kya kya nahin tha dariya mein
phir bhi pyaasa hi rah gaya saahil
pehle hairaan tha magar phir main
apni barbaadi mein hua shaamil
baadh aate hi kar gaya hijrat
tu bhi aink ke jaise tha waasil
jisko milti hai vo bataata hai
is sadak ki nahin koi manzil
itni mushkil na thi shahanshaahi
koi bhookha tha koi tha buzdil
ek kaandha zaroori hai sabko
chahe maatam ho ya koi mehfil
mere qaabil nahin rahi duniya
mujhko chhodaa nahin kisi qaabil
mujhmein afsos ban ke baithi hai
ik dua jo nahin hui kaamil
chot kha kar jo hans diya tha main
maarnay waala ho gaya chotil
haal ye hai ki haal ko mere
kos kar mar chuka hai mustaqbil
यूँ तुझे ढूँढ़ना हुआ मुश्किल
तेरी यादें ही बन गई हाइल
मेरे एहसास थे तवाज़ुन में
फिर हुआ वो हयात में दाख़िल
आख़िरी बार मिलना बाक़ी है
हिज्र मुझ पर हुआ नहीं नाज़िल
जब कि क्या क्या नहीं था दरिया में
फिर भी प्यासा ही रह गया साहिल
पहले हैरान था मगर फिर मैं
अपनी बर्बादी में हुआ शामिल
बाढ़ आते ही कर गया हिजरत
तू भी ऐनक के जैसे था वासिल
जिसको मिलती है वो बताता है
इस सड़क की नहीं कोई मंज़िल
इतनी मुश्किल न थी शहंशाही
कोई भूखा था कोई था बुज़दिल
एक काँधा ज़रूरी है सबको
चाहे मातम हो या कोई महफ़िल
मेरे क़ाबिल नहीं रही दुनिया
मुझको छोड़ा नहीं किसी क़ाबिल
मुझमें अफ़सोस बन के बैठी है
इक दुआ जो नहीं हुई कामिल
चोट खा कर जो हँस दिया था मैं
मारने वाला हो गया चोटिल
हाल ये है कि हाल को मेरे
कोस कर मर चुका है मुस्तक़बिल
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Chetan
our suggestion based on Chetan
As you were reading Afsos Shayari Shayari