rab haseen dard ko kab mere pe barpaayega
aur kab mujh ko mohabbat mein tu bahlaayega
kya musalsal koi itna bhi khafa rehta hain
tu qaza kar ke ata kab mujhe chaukaayega
main bayaan kyun hi karunga mera ulfat kissa
dil mera chupke se usse gale mil aayega
ik muhabbat hi to hai karne ke laayak nisbat
par gul-e-rashq to ba-khud hi to khil jaayega
रब हसीं दर्द को कब मेरे पे बरपाएगा
और कब मुझ को मोहब्बत में तू बहलाएगा
क्या मुसलसल कोई इतना भी खफ़ा रहता हैं
तू क़ज़ा कर के अता कब मुझे चौकाएगा
मैं बयाँ क्यों ही करूँगा मिरा उल्फ़त किस्सा
दिल मिरा चुपके से उससे गले मिल आएगा
इक मुहब्बत ही तो है करने के लायक निस्बत
पर गुल-ए-रश्क़ तो बा-ख़ुद ही तो खिल जाएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Deep kamal panecha
our suggestion based on Deep kamal panecha
As you were reading Aah Shayari Shayari