ai khuda tu sach mein gar hai to mujhe barbaad kar de
jo kisi ko yaad na aaye mujhe vo yaad kar de
tu sata dukh de rula le aur de de iska gham bhi
par vo ladki us ki kismat mein khushi aabaad kar de
usse doori uski na ka itna gham itna ziyaada
ab tu bas is zindagi se hi mujhe azaad kar de
hain nahin koi bhi apna koi bhi apna nahi yaa
saans hi ab maut tak pahunchaane ki uftaad kar de
ऐ ख़ुदा तू सच में गर है तो मुझे बर्बाद कर दे
जो किसी को याद ना आए मुझे वो याद कर दे
तू सता दुख दे रुला ले और दे दे इसका ग़म भी
पर वो लड़की उस की किस्मत में ख़ुशी आबाद कर दे
उससे दूरी उसकी ना का इतना ग़म इतना ज़ियादा
अब तू बस इस ज़िन्दगी से ही मुझे आज़ाद कर दे
हैं नहीं कोई भी अपना कोई भी अपना नही याँ
साँस ही अब मौत तक पहुँचाने की उफ़्ताद कर दे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Deep kamal panecha
our suggestion based on Deep kamal panecha
As you were reading Sach Shayari Shayari