aankhon se khoon yaad mein uski behaaiyo | आँखों से खून याद में उसकी बहाइयो

  - Deep kamal panecha

aankhon se khoon yaad mein uski behaaiyo
din kal ka ab mujhe mere rab mat dikhaaiyo

naa-kaamyaab tha main chala chhod so mujhe
ab kaamyaab shakhs ko tum mat gawaaiyo

kaala libaas tera utaare nazar tiri
tu roz us libaas mein khwaabon mein aio

bheegi na palkein aankhe meri itne zakhmon se
kab tak ai zindagi tu mujhe sataaiyo

bas meri ek hi raja khwaahish rahi hai ab
sar uski god mein rakhe jeevan se jaaiyo

har baar tujh ko jaane diya teri sharton pe
par is dafa jo aio waapas na jaaiyo

kitna haseen kar diya likh ke tujhe maine
ab is haseen pan pe gumaan tu uthaaiyo

iqraar ik dafa bhi na usne kiya hai gham
ab deep tu nigaahon mein ye gham chupaaiyo

आँखों से खून याद में उसकी बहाइयो
दिन कल का अब मुझे मिरे रब मत दिखाइयो

ना-कामयाब था मैं चला छोड़ सो मुझे
अब कामयाब शख़्स को तुम मत गवाइयो

काला लिबास तेरा उतारे नज़र तिरी
तू रोज उस लिबास में ख़्वाबों में आइओ

भीगी न पलकें, आँखे मिरी इतने ज़ख़्मों से
कब तक ऐ ज़िन्दगी तू मुझे सताइओ

बस मेरी एक ही रजा, ख़्वाहिश रही है अब
सर उसकी गोद में रखे जीवन से जाइयो

हर बार तुझ को जाने दिया तेरी शर्तों पे
पर इस दफ़ा जो आइओ वापस न जाइयो

कितना हसीन कर दिया लिख के तुझे मैंने
अब इस हसीन पन पे गुमाँ तू उठाइयो

इक़रार इक दफ़ा भी न उसने किया है ग़म
अब "दीप" तू निगाहों में ये ग़म छुपाइयो

  - Deep kamal panecha

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Deep kamal panecha

As you were reading Shayari by Deep kamal panecha

Similar Writers

our suggestion based on Deep kamal panecha

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari