kahi main ja ke nadi mein duba doon kya khud ko | कहीं मैं जा के नदी में डुबा दूँ क्या ख़ुद को

  - Deep kamal panecha

kahi main ja ke nadi mein duba doon kya khud ko
ya phir main aag ki lau mein jala doon kya khud ko

satao mat mujhe itna bhi ai mere apnon
main jang mein kahi ja ke kata doon kya khud ko

main poochta hoon ye thak haar ke tumhein jaanaan
main meri maut se seene laga doon kya khud ko

karaar-e-dil na kabhi saath hoga tu mere
to saans lene se bhi ab thaka doon kya khud ko

haan chubhta hai mujhe mehboob ka bura lahja
so bujhti lau ki tarah main bujha doon kya khud ko

ye zindagi to muhabbat hi hai muhabbat bas
mohabbaton se bhi ab kya chhupa doon kya khud ko

usi ne ki hai yahan be-wafai ulfat mein
to uske naam pe main ab mita doon kya khud ko

कहीं मैं जा के नदी में डुबा दूँ क्या ख़ुद को
या फिर मैं आग की लौ में जला दूँ क्या ख़ुद को

सताओ मत मुझे इतना भी ऐ मिरे अपनों
मैं जंग में कहीं जा के कटा दूँ क्या ख़ुद को

मैं पूछता हूँ ये थक हार के तुम्हें जानाँ
मैं मेरी मौत से सीने लगा दूँ क्या ख़ुद को

करार-ए-दिल न कभी साथ होगा तू मेरे
तो साँस लेने से भी अब थका दूँ क्या ख़ुद को

हाँ चुभता है मुझे महबूब का बुरा लहजा
सो बुझती लौ की तरह मैं बुझा दूँ क्या ख़ुद को

ये ज़िन्दगी तो मुहब्बत ही है मुहब्बत बस
मोहब्बतों से भी अब क्या छुपा दूँ क्या ख़ुद को

उसी ने की है यहाँ बे-वफ़ाई उल्फ़त में
तो उसके नाम पे मैं अब मिटा दूँ क्या ख़ुद को

  - Deep kamal panecha

Inquilab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Deep kamal panecha

As you were reading Shayari by Deep kamal panecha

Similar Writers

our suggestion based on Deep kamal panecha

Similar Moods

As you were reading Inquilab Shayari Shayari