musalsal khwaab ko aane se roka ja raha hai | मुसलसल ख़्वाब को आने से रोका जा रहा है

  - "Dharam" Barot

musalsal khwaab ko aane se roka ja raha hai
mujhe us shakhs ko paane se roka ja raha hai

badha hai desh aage jaante hai ham sabhi par
abhi bhi bhookhe ko daane se roka ja raha hai

nahin ustaad chhota ek baccha hi to hai vo
adhoore sur mein kyun gaane se roka ja raha hai

badhaakar shakhs kii ghalti yun failaai gai thi
kii ab us shakhs ko taane se roka ja raha hai

dharm bhar jaaye jee jiska nahin rukna hai phir bhi
use dil tod kar jaane se roka ja raha hai

मुसलसल ख़्वाब को आने से रोका जा रहा है
मुझे उस शख़्स को पाने से रोका जा रहा है

बढ़ा है देश आगे जानते है हम सभी पर
अभी भी भूखे को दाने से रोका जा रहा है

नहीं उस्ताद छोटा एक बच्चा ही तो है वो
अधूरे सुर में क्यों गाने से रोका जा रहा है

बढ़ाकर शख़्स की ग़लती यूँ फैलाई गई थी
की अब उस शख्स को ताने से रोका जा रहा है

धरम भर जाए जी जिसका नहीं रुकना है फिर भी
उसे दिल तोड़ कर जाने से रोका जा रहा है

  - "Dharam" Barot

Mazhab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by "Dharam" Barot

As you were reading Shayari by "Dharam" Barot

Similar Writers

our suggestion based on "Dharam" Barot

Similar Moods

As you were reading Mazhab Shayari Shayari