murjha gaya maine diya tha jo gulaab | मुरझा गया मैंने दिया था जो गुलाब - "Dharam" Barot

murjha gaya maine diya tha jo gulaab
achha laga tha plastic ka to gulaab

ye dekh kar tujhko nahin aaya samajh
kaanta nahin hai saath mein dekho gulaab

aasaan hogi zindagi jo tum ho maun
chup rah ke sabko pyaar se de do gulaab

jis phool ka maali nahin koi yahan
us phool ko bhagwaan ka maano gulaab

gahra banega ghaav dil par aur bhi
har roz doge ishq mein jisko gulaab

sooni rahe hai kokh jinki vo kapal
gar besahaara ka bane vo jo gulaab

is desh mein har rang ke hai shehar yaar
jaipur ko to hai rang hi pyaaro gulaab

saccha nahin koi yahan achha wahi
jo saamne se aake de mujhko gulaab

मुरझा गया मैंने दिया था जो गुलाब
अच्छा लगा था प्लास्टिक का तो गुलाब

ये देख कर तुझको नहीं आया समझ
काँटा नहीं है साथ में देखो गुलाब

आसान होगी ज़िंदगी जो तुम हो मौन
चुप रह के सबको प्यार से दे दो गुलाब

जिस फूल का माली नहीं कोई यहाँ
उस फूल को भगवान का मानो गुलाब

गहरा बनेगा घाव दिल पर और भी
हर रोज़ दोगे इश्क में जिसको गुलाब

सूनी रहे है कोख जिनकी वो कपल
गर बेसहारा का बने वो जो गुलाब

इस देश में हर रंग के है शहर यार
जयपुर को तो है रंग ही प्यारो गुलाब

सच्चा नहीं कोई यहाँ अच्छा वही
जो सामने से आके दे मुझको गुलाब

- "Dharam" Barot
1 Like

Ulfat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by "Dharam" Barot

As you were reading Shayari by "Dharam" Barot

Similar Writers

our suggestion based on "Dharam" Barot

Similar Moods

As you were reading Ulfat Shayari Shayari