ijaazat ho sunaau yaar ghazlen | इजाज़त हो सुनाऊँ यार ग़ज़लें

  - Gaurav Singh

ijaazat ho sunaau yaar ghazlen
badan ke zaawiye par chaar ghazlen

kai sau sher tanhaa ho gaye aur
ghazal ke naam pe bas chaar ghazlen

hamaara kaam achha chal raha tha
hamein bhi ho gai dushwaar ghazlen

hamaari zindagi mein yun samjhiye
nibhaati hain kai seedi ghazlen

lagaate hain abhi jo pyaar ki rat
kaheinge ek din deen-daar ghazlen

hue hain jiske chakkar mein ghazalgo
usi ko lag rahi bekar ghazlen

ghazal ke rog se bachkar ke rahiye
kare hain theek ko beemaar ghazlen

kisi ke vaaste dariya si gahri
kisi ke vaaste patwaar ghazlen

hamaari baat chaaho likh ke le lo
karengi ek din yalghaar ghazlen

agar barsa sake hain phool ghazlen
utha sakti hain phir talwaar ghazlen

samajh aane lagi hai dheere dheere
hamein bhi meer ki tahdaar ghazlen

इजाज़त हो सुनाऊँ यार ग़ज़लें
बदन के ज़ाविये पर चार ग़ज़लें

कई सौ शेर तन्हा हो गए और
ग़ज़ल के नाम पे बस चार ग़ज़लें

हमारा काम अच्छा चल रहा था
हमें भी हो गई दुश्वार ग़ज़लें

हमारी ज़िंदगी में यूँ समझिए
निभाती हैं कई क़िरदार ग़ज़लें

लगाते हैं अभी जो प्यार की रट
कहेंगे एक दिन दीं-दार ग़ज़लें

हुए हैं जिसके चक्कर में ग़ज़लगो
उसी को लग रही बेकार ग़ज़लें

ग़ज़ल के रोग से बचकर के रहिए
करे हैं ठीक को बीमार ग़ज़लें

किसी के वास्ते दरिया सी गहरी
किसी के वास्ते पतवार ग़जलें

हमारी बात चाहो लिख के ले लो
करेंगी एक दिन यलग़ार ग़ज़लें

अगर बरसा सके हैं फूल ग़ज़लें
उठा सकती हैं फिर तलवार ग़ज़लें

समझ आने लगी है धीरे धीरे
हमें भी मीर की तहदार ग़ज़लें

  - Gaurav Singh

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gaurav Singh

As you were reading Shayari by Gaurav Singh

Similar Writers

our suggestion based on Gaurav Singh

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari