to kya gar vo dilon mein faaslon ko chhod jaate hain | तो क्या गर वो दिलों में फ़ासलों को छोड़ जाते हैं - Hasan Raqim

to kya gar vo dilon mein faaslon ko chhod jaate hain
sabhi gaahak hi toote aainon ko chhod jaate hain

hamaare kehne pe to jang ka qatra nahin rukta
tumhaare kehne pe dushman safoon ko chhod jaate hain

mujhe patjhad ke mausam ne sikhaaya hijr ka matlab
ki kaise sukhe patte tehniyon ko chhod jaate hain

naye shehron mein bachchon ke liye ghar lete hain maa baap
wahi bacche bade hokar gharo ko chhod jaate hain

khilone paane kii naakaam hasrat se bhare bacche
chale jaate hain melon se dilon ko chhod jaate hain

puraani yaadon ke baagheche ko jab yaad karte hain
vo kaante been lete hain gulon ko chhod jaate hain

jahaan kuch bhi nahin bachta wahan dhoondhaa karo mujhko
gharo ko todate toofan diyon ko chhod jaate hain

तो क्या गर वो दिलों में फ़ासलों को छोड़ जाते हैं
सभी गाहक ही टूटे आइनों को छोड़ जाते हैं

हमारे कहने पे तो जंग का क़तरा नहीं रुकता
तुम्हारे कहने पे दुश्मन सफ़ों को छोड़ जाते हैं

मुझे पतझड़ के मौसम ने सिखाया हिज्र का मतलब
कि कैसे सूखे पत्ते टहनियों को छोड़ जाते हैं

नये शहरों में बच्चों के लिए घर लेते हैं माँ बाप
वही बच्चे बड़े होकर घरों को छोड़ जाते हैं

खिलौने पाने की नाकाम हसरत से भरे बच्चे
चले जाते हैं मेलों से दिलों को छोड़ जाते हैं

पुरानी यादों के बाग़ीचे को जब याद करते हैं
वो काँटे बीन लेते हैं गुलों को छोड़ जाते हैं

जहाँ कुछ भी नहीं बचता वहाँ ढूँढा करो मुझको
घरों को तोड़ते तूफ़ाँ दियों को छोड़ जाते हैं

- Hasan Raqim
1 Like

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hasan Raqim

As you were reading Shayari by Hasan Raqim

Similar Writers

our suggestion based on Hasan Raqim

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari