muhabbat ka mujhe aazaar ho ye ho nahin saktaa | मुहब्बत का मुझे आज़ार हो ये हो नहीं सकता

  - Aadi Ratnam

muhabbat ka mujhe aazaar ho ye ho nahin saktaa
ke tere baad mujhko pyaar ho ye ho nahin saktaa

alag ye baat hai mujhko muhabbat hai tujhi se par
tujhe bhi yaar mujhse pyaar ho ye ho nahin saktaa

muhabbat mein na jaane ek dil toota hai kitni baar
muhabbat bhi phir ik hi baar ho ye ho nahin saktaa

tumhaare to nazar ke teer logon ne bahut khaaye
magar mere bhi dil ke paar ho ye ho nahin saktaa

teri fehrist mein aashiq pade honge ye hai maaloom
magar vo bhi faqat do chaar ho ye ho nahin saktaa

tere haathon mein hai talwaar ye tera muqaddar hai
mere haathon mein bhi hathiyaar ho ye ho nahin saktaa

मुहब्बत का मुझे आज़ार हो ये हो नहीं सकता
के तेरे बाद मुझको प्यार हो ये हो नहीं सकता

अलग ये बात है मुझको मुहब्बत है तुझी से पर
तुझे भी यार मुझसे प्यार हो ये हो नहीं सकता

मुहब्बत में न जाने एक दिल टूटा है कितनी बार
मुहब्बत भी फिर इक ही बार हो ये हो नहीं सकता

तुम्हारे तो नज़र के तीर लोगों ने बहुत खाए
मगर मेरे भी दिल के पार हो ये हो नहीं सकता

तेरी फ़ेहरिस्त में आशिक़ पड़े होंगे ये है मालूम
मगर वो भी फ़क़त दो चार हो ये हो नहीं सकता

तेरे हाथों में है तलवार ये तेरा मुक़द्दर है
मेरे हाथों में भी हथियार हो ये हो नहीं सकता

  - Aadi Ratnam

Teer Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aadi Ratnam

As you were reading Shayari by Aadi Ratnam

Similar Writers

our suggestion based on Aadi Ratnam

Similar Moods

As you were reading Teer Shayari Shayari