mere khuda dekh kya se kya hua aadmi | मेरे ख़ुदा देख क्या से क्या हुआ आदमी

  - Chandan Sharma

mere khuda dekh kya se kya hua aadmi
maula bata soch kar kya phir janaa aadmi

vo ik zamaana alag tha ishq karte the jab
imroz bas husn daulat par fana aadmi

mujh ko kisi se nahin matlab ki tere siva
phir kya bura aadmi jaan kya bhala aadmi

insaan achhe se ban saka nahin aur phir
banne chala aadmi ka ab khuda aadmi

tauba karo is mohabbat ishq aur pyaar se
kar ke mohabbat ki jaan se hi gaya aadmi

main dang tha raat bhar kal aaina dekh kar
tha saamne aaine mein ik naya aadmi

tum jitne be-dil ho jaazib tum sakoge nahin
ik aadmi dil se banta hai bada aadmi

मेरे ख़ुदा देख क्या से क्या हुआ आदमी
मौला बता सोच कर क्या फिर जना आदमी

वो इक ज़माना अलग था इश्क़ करते थे जब
इमरोज़ बस हुस्न, दौलत पर फ़ना आदमी

मुझ को किसी से नहीं मतलब कि तेरे सिवा
फिर क्या बुरा आदमी जाँ क्या भला आदमी

इंसान अच्छे से बन सकता नहीं और फिर
बनने चला आदमी का अब ख़ुदा आदमी

तौबा करो इस मोहब्बत, इश्क़ और प्यार से
कर के मोहब्बत कि जाँ से ही गया आदमी

मैं दंग था रात भर कल, आईना देख कर
था सामने आईने में इक नया आदमी

तुम जितने बे-दिल हो 'जाज़िब' तुम सकोगे नहीं
इक आदमी दिल से बनता है बड़ा आदमी

  - Chandan Sharma

Partition Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Chandan Sharma

As you were reading Shayari by Chandan Sharma

Similar Writers

our suggestion based on Chandan Sharma

Similar Moods

As you were reading Partition Shayari Shayari