ye bedaari meri aankhon ki beenaai na kha jaaye | ये बेदारी मेरी आँखों की बीनाई न खा जाए

  - Jagveer Singh

ye bedaari meri aankhon ki beenaai na kha jaaye
saza se bach gaya par mujhko ruswaai na kha jaaye

ye meetha jhooth tanhaai mere misre banaati hai
mujhe to dar ye khaata hai ki tanhaai na kha jaaye

saha hai maine hijrat hijr dono jaan na jaane kyun
magar ik tees ye hai teri harjaai na kha jaaye

hai mere paas behtar mujh se bhi kuchh mashware waale
magar hoon ainth ka maara so khud-raai na kha jaaye

main har sach ko samajh kar jhooth hoon apne gumaan mein par
ye bhi dar hai ki ik din mujhko sacchaai na kha jaaye

teri shaadi vidaai ka sitam to sah luun iska kya
padosi hai tu shaadi pehle shehnai na kha jaaye

ये बेदारी मेरी आँखों की बीनाई न खा जाए
सज़ा से बच गया पर मुझको रुस्वाई न खा जाए

ये मीठा झूठ तन्हाई मेरे मिसरे बनाती है
मुझे तो डर ये खाता है कि तन्हाई न खा जाए

सहा है मैंने हिजरत हिज्र दोनो जाँ न जाने क्यूँ
मगर इक टीस ये है तेरी हरजाई न खा जाए

है मेरे पास बेहतर मुझ से भी कुछ मशवरे वाले
मगर हूँ ऐंठ का मारा सो ख़ुद-राई न खा जाए

मैं हर सच को समझ कर झूठ हूँ अपने गुमाँ में पर
ये भी डर है कि इक दिन मुझको सच्चाई न खा जाए

तेरी शादी विदाई का सितम तो सह लूँ इसका क्या
पड़ोसी है तू शादी पहले शहनाई न खा जाए

  - Jagveer Singh

Jhooth Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jagveer Singh

As you were reading Shayari by Jagveer Singh

Similar Writers

our suggestion based on Jagveer Singh

Similar Moods

As you were reading Jhooth Shayari Shayari